Saturday 29 July 2017

Abhi Abhi. . .


Abhi tak to use yad thi me,

Bas Abhi abhi vul se vul gaya.

Abhi tak me basi thi uski ankhon me,

Bas abhi abhi bo nind me so gaya.

Abhi tak to muskurahat thi uske khayal ki,

Abhi abhi akhen nam si ho gayi.

Abhi tak to mohabbat luta raha tha bo mujh pe,

Abhi abhi kuchh khafa sa ho gaya.

Abhi tak to intizar kar raha tha bo meri,

Bas abhi abhi mujhe intizar de gaya.

Abhi tak to yad thi me use,

Bas abhi abhi bo mujhe vul se vul gaya.!!!

No comments:

Post a Comment