Saturday 29 July 2017

Pehla Kadam

Bo gira to ro pada,
kehne laga maa se-
"Maa, kyun humesa mein
ese gir jata hun?
Duniya dekho chalti
bade saan se har din.
Pehle kadam pe mein hi
kyun dagmagata hun?"
Maa ne kaha hanske
bade pyar se sehlake,
"Chaal ki pehli kadam hi he girna.
Ese hi badhte he hum
kabhi chal ke kabhi gir ke,
ese hi sikhte he hum
zindagi ko jina.
Girta he har koi
anjane mein apne,
han par beta
unhe dekhte hum nahin.
Tum bhi gire to
naa karna gahm kabhi,
haar ko kisiki yaad nahin rakhta koi.
Sikhoge tum bhi chalna
yun hi girte girte.
Ismein ruk jane ki koi baat nahin he.
Ese hi badhte he hum
kabhi chalke kabhi girke,
han bete zindagi ki misal ehi he."

1 comment: